Beautiful Sad Urdu Ghazal

Tulu e Husn ka manzar chupa dia jaye,
Jalain charagh to chehra bujha dia jaye,

Sajood e Ejz ka rasta dikha diya jaye,
Zameen kay chehray say pardah utha diya jaye,

yaa is kay karb ki shiddat ko kam kary koi,
Ghareeb sheher ko yaa phir jala diya jaye,

Palak jhapaknay ki mohlat naahi mili mujh ko
So meri ankh say ansu gira diya jaye,

Woh aik lamha dua ka guzar na jaye kahin,
lagy jo ankh o mujh ko jaga diya jaye,

hain kitnay hath or aik dar us ka,
wo sochta nahi k kis kis ko kya diya jaye,

yeh apnay haq main kabhi bol na sakay is ko,
Hasool e rizq main itna thaka diya jaye,

Beautiful urdu ghazal

This is a very fascinating a deep Sad Urdu Ghazal by the poet Where the poet has explained his feeling beautifully.